Amel Soname Contact

agar kisi ko hum se contact karna ha to wo email ka zarya hum se contact kareen . dhoka bazoo se hoshyaar rahe jo amel soname naam ki jaise email,website, ya social media websites per id ya telephone number dal kar logo ko dhoka de rahe ha or apna app ko amel soname naam ka bohat bara Amel ya jadugar bata kar logo se paisa lay rahe ha . hamara ahsa logo se koi talooq nahi ha or na he hamara ahsa logo se kohi talooq ha jo amel soname naam se astana ya office khul ka betha ha . hamare kohi telephone support nahi ha. hamare sirf email support ha .is email k ilawa hamare kohi dosare email support nahi ha .email yeah ha amel_soname@yahoo.com



hamara is website www.amelsoname.com se kohi talooq nahi ha yeah hamare nahi ha or na he hum se munsalik ha



Asaib ka quran pak se toor

Posted by Amel soname | Posted in | Posted on 2:28 PM

11


As salamu allaiqum


shaytani jinnat jo logo per sawar ho jate ha inhe jinnato ko asab ka nam se kaha jata ha ka asar ho gaya ya asab tang kar raha ha
jinnat insano per kabe jinsi khowahish or ishq ki waja se sawar hote ha jesa ka insan k insan ka sath hota ha or aksar wa bashtar dushmani or intakami jazbat ka tahat hote ha kohi insan in ko takleef de ya wo yeah samjha ka insan inhe jan pouch kar pareshan kar raha ha ka kisi per pishab kardeya ya kisi per garam pani dala ya kisi ko katel kardeya .halaka insano ko is ka elim na ho laken jinnat main zulum wa jahalat hote ha is liya wo insano se is se zada saza deta ha kabe kabe jinnat insano per ahsa he shararate ka tor per sawar hote ha jesa ka ahmaq kisam ka insan karte ha shararate
agar jinnat insan per sawar ho jahe or baat chit kareen to jinnat ko zaroor samjhana chaheya ka or us se bat chit kar ka masla ko hall karna chaheya baat chit karna se jald jan chot jate ha
bazz okat jin insan per jinse khowahish ki waja se or ishq ki waja se sawar hote ha yeah fahash kam ha jis ko Allah na insano or jinno dono per haram kiya ha agar dosare fareki ki razamandi ho tab be k yeah bar hall gonah or zulm ha lahaza jinno se is bare main goftago kar ka unko samjhaya jahe ka yeh haram ha or gunahe kabira ha
agar jinn insan per dosare waja se kisi insan k is ko takleef dena ki waja se sawar ho or insan na yeah herkat la elmi main ki ho to jinnat se kaha jahe ka is na na jana ki waja se ahsa kiya ha or jo gayar irade toor per takleef de ha wo saza ka mostaheq nahi agar insan na yeah herkat apna ghar main or apni malkiyat main ki ho to jinnat se kaha jahe ka ghar is ki malkiyat ha or wo apni malkiyat main jo chaheya kar sakta ha apko begar ijazat insano ki malkiyat main rehna ka haq nahi app verna or sehraho main ja kar rahe or app log nazar to ate nahi ka apko takleef na de jahe gayar irade toor per agar takleef ho to is ka insan zemadar nahi q k app log insano ko nazar nahi ate insan is ka mostahaq nahi
amal yeah ha is amal ko 2no sorato main istamal kar sakta ha
is aiyat ko roz 500 dafa pareen surah yousuf verse no 4

إِذْ قَالَ يُوسُفُ لِأَبِيهِ يَا أَبَتِ إِنِّي رَأَيْتُ أَحَدَ عَشَرَ كَوْكَبًا وَالشَّمْسَ وَالْقَمَرَ رَأَيْتُهُمْ لِي سَاجِدِينَ
is aiyat ko be roz 500 dafa pareen surah rehman verse no 33
يَا مَعْشَرَ الْجِنِّ وَالْإِنسِ إِنِ اسْتَطَعْتُمْ أَن تَنفُذُوا مِنْ أَقْطَارِ السَّمَاوَاتِ وَالْأَرْضِ فَانفُذُوا ۚ لَا تَنفُذُونَ إِلَّا بِسُلْطَانٍ
ake china ki plate per yeah aiyat surah bakra ki verse no 102
وَاتَّبَعُوا مَا تَتْلُو الشَّيَاطِينُ عَلَىٰ مُلْكِ سُلَيْمَانَ ۖ وَمَا كَفَرَ سُلَيْمَانُ وَلَـٰكِنَّ الشَّيَاطِينَ كَفَرُوا يُعَلِّمُونَ النَّاسَ السِّحْرَ وَمَا أُنزِلَ عَلَى الْمَلَكَيْنِ بِبَابِلَ هَارُوتَ وَمَارُوتَ ۚ وَمَا يُعَلِّمَانِ مِنْ أَحَدٍ حَتَّىٰ يَقُولَا إِنَّمَا نَحْنُ فِتْنَةٌ فَلَا تَكْفُرْ ۖ فَيَتَعَلَّمُونَ مِنْهُمَا مَا يُفَرِّقُونَ بِهِ بَيْنَ الْمَرْءِ وَزَوْجِهِ ۚ وَمَا هُم بِضَارِّينَ بِهِ مِنْ أَحَدٍ إِلَّا بِإِذْنِ اللَّهِ ۚ وَيَتَعَلَّمُونَ مَا يَضُرُّهُمْ وَلَا يَنفَعُهُمْ ۚ وَلَقَدْ عَلِمُوا لَمَنِ اشْتَرَاهُ مَا لَهُ فِي الْآخِرَةِ مِنْ خَلَاقٍ ۚ وَلَبِئْسَ مَا شَرَوْا بِهِ أَنفُسَهُمْ ۚ لَوْ كَانُوا يَعْلَمُونَ
golab wa zafran se likh kar 7 roz tak peya sobah 9 baja peya roz ana peya or 7 plato per likhwa kar rakh lay or golab ka 7 pholo per is aiyat ko ake pool per 7 mertabah par kar dam kar k is phool ko pore badan per maleen baad main in phoolo ko darya ya samander main dal den or is aiyat ko be nakash bana kar galay main dal leen inshallah kuch he din main aseeb se jan choot jahe gee


Amel Soname Contact 

agar apko kohi be sawal karna ha to mujha direct contact kareen. is email ka ilawa  hamare kohi or dosare kisi be kisam ki  help support nahi ha 

dua main yaad rakhya ga 
amel soname
amel_soname@yahoo.com










Share/Save/Bookmark

Comments (11)

iss amal ko kitney dino tak jari rakhna hain .jo apne 500 dafa batayein hain?

jinn mere upar chorte jo koi bimariwala ho ya dadhi par hath ferneki adat ho aise jinn chhorte hai fir uska elaz karte he.vo kya mere dil me or juban par bol bol kar muje thaka kar sarme dard paida karte hai fir uske sar ka elaz karte hai.vo aisa bolte hai ki mai is gaav ka hu gaav ka name bhi late hai.jinn se mere sir me dard paida karte hai.bolte ke hum log sir ki vaai nikalte hai.sone bhi nahi dete.need mei se bhi jaga dete hai.mujko garmi bhi bahot jayada lagti hai.muje jadoo se vash kiya hai ya jinn se vash kiya hai kutch pata nahi chalta.aise jinn bhi vadh karte hai jinko koi body me dard hota ho.jo dard jinn ko hota hai wo mujko bhi hota hai.khawab to meri family ke late hai.dil par itna khof kar dete hai jinse me bahar nahi nikal nahi sakta.mai chhoti umar ka tha tabse ye kaam kisine jinn chhod ke kiya hai.shayad uss jinn se muje vash kar liya hai.jinn hata lete hai to mai fresh ho jata hu.lekin vo hatate nahi hai.vo kitne admi hai muje pata nahi hai.

Mohthem Janab
Assalam O Alaikum
Main umeed karta hun k aap meri request parein gey aor Allah ki raza ki khatir madad bhi farmain gey.
Asal main meri aik batiji hai jis ki umer taqreeban 17 saal hai pichly aik saal se aaseb ka shakar hai, shuru shuru main wo jese hi maghrib ka waqt hota tha to apreshan ho jati thi aor ghutan mehsoos karti thi aor rona shuru kar deti thi,, jo ab barte barte din main bhi rona shuru kar deti hai aor rote roty behosh ho jati hai,, Hum Quran Ki tawalat kartey hain to zor zor se chekhna shuru kar deti hai hata ka aagey se marti bhi hai.

Yahan main aap ko batata chalun k 6 saal pehly jab wo ney ghar main shift huwe the to in k ghar main cuti hui billi( cat) mili thi aor khoon k chety bhi diwarun pay aate the lakin tore arsey k bahad wo khud hi band ho gey the.
Ab us ki halat bohat karab hai aor parhai bhi chor di hai us ne, Jab k wo bohat hi laiq larki thi.. Please help karein Allah aor us k rasool ki khatir hum sab us k liye bohat pareshan hain aor mukhtalif jagun aor Aamlien aor doctors se rabita bhi kar chukey hain lakin koi bhi faida nai huwa,,

aap k jawab ka intazar rehe ga. Allah aap ka hami O Nasir Ho..Ameen

Assalam o alaikum
Mera naam Sana hai . Mene apko 2 cheezon ka poochna hai.
1. Kuch time pehle ramzaan mei mai chat par ghar waloon k saath bethi hui thi tu aik dam se mujh mai koi saya aagya phir ghar walon ne qari ko bulaya tou unhun ne btaya k mjh mei koi saya aagya tha jo ab chala gya us k bd se mai aksar khowab mai dar jaati hun. Mjh aik dam se kuch hota hai smjh ni aata kya ho rha aur mai ghar se bhaag jaati hun. Aisa 2 bar ho chuka hai mere saath lgta hai jese khud par control nahi jese koi ye sb mjhse krwa raha ho. Kia mjh par koi shaitani saya hai ya jaadu ?
2. Mai aik lardkay se shaadi krna chahti hun . Kbhi lagta hai wo bhi mjhse shaadi krna chahti tou kbhi lgta hai time pass kr rha. Kia wo mere liye theek hai ? Kia wo sincere hai meri usse shaadi hogi ya nahi aur agr hogi tou kb tk matvaqa hai ? Please mere in dono sawalon k jawab ishtekhara kr k dijiye. Mjhe apke reply ka intezar rahega. JAZAKALLAH

Aoa kuch maah phle mjhe depression ho gya tha jis ki waja se mane kafi dwaae istemaal ki mgr takleef khtm ni hoti thi phir ma kisi hakeem k paas gae wo hikmat b krta tha usne mjhe teen taweez diye peene k lye jb mene piye to mjhe mere dil se awazain ane lgi r ankhon k aage ajeeb khwaab r shklein aane lg gae ma tarapne lg gae r phir mera ilaj kraya kisi amil se to ma bhtr hui mgr abi b mjh ma jinaat k asraat mojood hein mere se soya ni jata har wqt jaagti is ka koi hal btaein

Sir mery sath bhi yehi masla hai..rat ko bhi jin mery sath ghlt krta mjhe feel bhi hua or rat sy mery pain ha kamar mn bhi ,dbao bhi bhht ziada para mn apny ghr walon ko awazain dany ki koshish ki usko pkar bhi lya taang sy.....
Par koe nh jaGa
Mn bbht ziada preshan hun phly bhi kae baar asa hua mery sath
Plz iska koe hal btaen....

Main doctor hun. Karachi mein rehti hun. Mere sath jo
masla hai wo baqi logo se buhaut mukhtalif hai. Main ek normal zindagi
guzarti hun. Wo jo koi bhi hai mere upar kabhi hawi nahin ho sakta.
Main Allah ki hifazat mein rehti hun. Lekin wo meri zindagi barbad kar
raha hai. Main aap ko puri baat batati hun. Mujhe nahin malum ye sab
kuch kab se hai lekin jab mere notice mein aaya to ye wo waqt tha jab
naye ghar mein shift huay. Mujhe khuwabo ke zariye se jo hone wala
hota hai wo pata chal jata hai jab Allah mere ilm mein lana chahe.
Ghar mein shift huay ziada arsa nahin hua tha jab mujhe ghar mein
jinnat ki maujudgi ke khuwab nazar aane lage. Us waqt main ek kam umar
larki thi 5 ya 6 class mein. Pehla waqea is tarah hua ke raat mein ek
dafa uthi thi to jo light main khuli chor ke gayi thi wo band thi jise
main ne samjha koi masla hoga lekin yunhi chehra mor ke wapis wahan
dekha to khuli hui thi. Main dar ke fauran sone chali gayi lekin is ko
koi bijli ka masla samajh kar bhula diya. Waqt guzarta raha. Main ek
tanhai pasand larki hun. Apni koi baat kabhi kisi se share nahin
karti thi. Sirf Allah se kehti thi. Mujhe mere ghar se wo muhabbat aur
tawajja nahin mili jis ki main haqdar thi isliye bare hone ke sath aur
bhi apni zaat mein qed hoti gayi. 11 saal pehle meri ek shakhs se baat
hona shuru hui.

Hum ek dusre se buhaut muhabbat karte thay aur shadi
ka fesla kiya. Mujhe buhaut umeed thi ke mere walid maan jayen ge
lekin wo nahin mane. Unhaun ne status ko waja bana diya. Wo log hum se
status mein kam thay. Mera dil buhaut dukha. In baton pe kafi behes
hui thi phir waqt guzarne laga. Mere walid samjhe sab khatam ho chuka
hai lekin main ne un se ishq kiya hai mere liye unke bagher jeene ka
tasawwur nahin tha. Unka naam Kamran hai. Hamara rabta raha. Unke ghar
walo ka hamesha support raha hai. Wo kabhi khilaf nahin huay. Main
apni taleem mukammal hone ka intizar karne lagi. Taqreeban 6 saal
pehle ek esa waqea pesh aaya ke jab main ne yaqeen kiya ke ghar mein
koi jin maujud hai. Mera ek suit tha jo ek jaga se phat gaya tha. Jab
wo dhul ke aaya to sila hua tha. Ye mumkin nahin tha ke ghar mein koi
aur seeta phir bhi main ne sab se pucha aur sab ne mana kar diya. Main
ne ye baat Kamran ke ilawa kisi ko nahin batayi. Kamran wo wahid
shakhs thay jin se main apni baten share karti thi. Main jinnat ke
bare mein us waqt kuch bhi nahin janti thi. Main buhaut khush hui ke
koi hai jo mera khayal rakhta hai. Ghar se kabhi wo tawajja nahin mili
thi isliye choti choti cheezo se main buhaut khush ho jati thi jese
kabhi mere glass mein pani bhar jana yo koi cheez jo kho chuki ho wo
mil jana. Mujhe khuwab ziada aane lage. Kabhi ache kabhi buray. Kabhi
mard kabhi aurat. Itne sare khuwab thay ke main samajh nahin saki ke
sach kia hai. Main samajhti thi ke wo koi naik jin hai jo Allah ki
ibadat karta hai. Muhabbat meri kamzori thi aur ye usay malum tha to
us ne usi tareeqe se mere dil mein jaga banani shuru ki. Jab kuch aur
waqt guzra to phir mujhe cheezo ki awaze aane lagi yani wo kabhi
darwaze pe hath maar deta tha. Kabhi zor se kabhi halke se. Ghar ke
kisi aur fard ke samne kabhi esa nahin hua isliye kisi ko malum nahin
ho saka aur aaj tak ye baat ek raaz ki tarah hai. Phir esa hone laga
ke main ye soch kar ke wo har waqt mere kamre mein maujud hota hai is
baat ko napasand karne lagi. Mujhe ajeeb lagta tha ke koi mujhe har
waqt dekh raha hai. Kabhi mujhe is baat pe ghussa bhi aane lagta tha.
Main buhaut chahti thi ke wo samne aaye lekin esa kabhi nahin hua.
Kamran ka rawaiyya mujh se kharab rehne laga. Bila waja ghussa
karte thay lekin pyar buhaut karte thay mafi mang lete thay. Main ne
12 saal us ghar mein guzare phir 2015 mein mere walid ne ghar badalne
ka fesla kar liya. Un dino ek dafa main ne socha ke wo to is ghar mein
rehta hai main chali jaun gi to phir koi bhi mere sath nahin hoga.
Main buhaut ziada udas rehne lagi. Aksar roti thi. Kamran ka rawaiyya
kafi kharab ho chuka tha isliye meri tawajja uski taraf ziada rehne
lagi ke duniya mein koi hai jo mera khayal rakhta hai. 2015 mein ghar
badal gaya.

Jab main naye ghar mein aayi to yehi socha ke ab wo nahin
hai lekin dusre ya teesre din hi mere kamre mein rakhe huay ek shopper
ke hilne ki awaz aayi. Pankha band tha na hawa ka koi guzar tha ke
shopper hilta tab mujhe pata chala ke wo us ghar mein nahin hota balke
jahan main hoti hun wahan wo hota hai. Naye ghar mein aane ke baad wo
waqt shuru hua jab mamlat bigarne shuru huay. Mujhe buhaut khuwab aane
lage. Purane ghar se hi jab main ne khuwab dekhna shuru kiye thay to
do tarah ke khuwab kafi nazar aate thay. Ek aurat ki surat mein jin jo
mujhe nuqsan paunhchana chahti hai aur is se bhi ziada jo khuwab main
ne dekhe un mein do hamshakal jinnat nazar aate thay jo mujhe khuwab
mein mehsus hota tha ke bhai hain. Purane ghar mein ek dafa khuwab
aaya tha ke safed shalwar qameez mein do hamshakal jinnat thay. Main
leti hui hoti hun. Un mein se ek dusre se kehta hai ke agar is ne aane
nahin diya to main iske upar aaun ga aur ye keh ke wo mere upar aata
hai. Usi waqt meri ankh khul jati hai. Main uthti hun to seene ki
haddi mein achanak dard hota hai jo puray din raha tha. Esa ek hi dafa
hua tha. Us ne mujhe kabhi koi jismani takleef nahin paunhchayi. Naye
ghar mein aaye huay ziada din nahin huay thay jab pehli dafa main ne
uski awaz suni. Main raat ko so rahi thi. Malum nahin kis waqt meri
ankh khuli. Main buhaut neend mein thi lekin mera zehen kaam kar raha
tha ke wo mere sath leta hua hai. Mere dil mein aaya ke usay dekhun.
Socha ke kitne saalo se main is waqt ka intizar karti rahi hun. Main
karwat pe leti hui thi. Jab main ye baat sochti hun ke usay dekhun to
us waqt wo meri kamar pe apna hath rakhta hai aur kehta hai ke aram se
so jao. Itni halki awaz mein ke main uth na jaun phir main dobara
neend mein chali jati hun. Taqreeban 8 maheene baad Kamran ke sath
raat ke waqt mein masle shuru ho gaye. Itne saalo mein ye pehli dafa
tha jab us ne Kamran ko nuqsan paunhchaya. Raat ke waqt unhein drawne
khuwab nazar aane lage aur wo roz cheekh ke raat ko kisi waqt uth jate
thay aur hamesha zameen pe ya kamre se bahar kahin apne aap ko pate
thay. Unhein parde ya deewar pe makriya chalti hui dikhayi deti thi.

Is dauran main ek dafa raat mein neend se jagi thi lekin meri ankhen
band thi aur main ne mehsus kiya ke kisi ne buhaut aram se mujhe
uthaya hai aur phir aram se hi wapis lita diya. Phir main neend mein
chali gayi thi. Kamran ko ek dafa khuwab mein kisi kutte ne kata aur
uthne ke baad asal mein us jaga takleef thi. Unka rang kala parta
gaya. Chehre ki ronaq khatam hone lagi. Har raat unke liye aziyat hoti
thi. Mujhe pehle to samajh nahin aaya ke ye sab kia ho raha hai lekin
usi dauran mujhe buhaut wazeh khuwab aane lage rozana jis mein sirf ek
hi cheez nazar aati thi ke uska matlab sirf jismani hai. Khuwab dekhne
ke baad mujhe uski asliyat ka pata chala aur us din se main us se
beintiha nafrat karne lagi. Main is baat se buhaut khush thi ke Allah
ne hamesha meri hifazat ki aur wo apne maqsad mein kabhi kamiyab nahin
ho saka lekin Kamran ki waja se main buhaut pareshan thi. Wo mere jese
nahin hain. Jaldi ghussa aa jata hai asaab kamzor hain isliye wo aram
se uska shikar ban gaye. Phir unhaun ne iske hal ke liye kisi ke
batane par ek shakhs se rabta kiya jo rohani ilaj karte thay. Unhaun
ne dam kiya hua pani diya. Kamran peete rahe koi faida nahin hua.
Halaat mazeed kharab rehne lage. Phir unhaun ne Kamran aur mujhe nikah
ka mashwara diya. Unhaun ne kaha ke ghar wale to baad mein maan jayen
ge lekin nikah nahin kiya to kuch bhi bura ho sakta hai mazuri ya
falij bhi ho sakta hai. Main chahe Kamran se ishq karti thi lekin mera
dil nahin mana ke main nikah karun. Ek bojh tha dil pe jese kuch
ghalat ho. Asal mein jab kuch ghalat ho raha hota hai to mujhe apne
dil ki kefiyat se pata chal jata hai. Mujhe us waqt ye baat samajh
nahin aayi ke jab main itna pyar karti hun to nikah ka soch ke dil
bhari kyun ho raha hai jese zabardasti kuch ho raha ho. Is sab ke
bawajud main ne sirf Kamran ko bachane ke liye un se nikah kar liya.
Mere ghar waalo ko is baat ka koi ilm nahin tha. Nikah ke baad se sab
badal gaya meri zindagi badal gayi ya yun kahun ke tabah ho gayi.
Kamran ki jo jismani aziyat thi wo to khatam ho gayi aur mujhe wo

Alsalam u alaikum Molvi saab...kese ho umeed karta ho k kheryat se honge plz mujhe kuch salo se ye bemari hai dictoro aur amilon ki tu koi hadh nhi k me khi gaya nhi zehen me bht bure khyalat ate hai jese k islam k khilaf waghera waghera jb bhi aise khyal ajaye tu me allah se mafi mangta ho aur duwa krta ho k khi koi azab na ajaye mujh par plz mere bemari ka hal batade g plz allah ap ko aur hamien sb musalmano ko khush rakhien ameen summa ameen....mera contact number ....03152093500

Popular Posts